fariyad nahin ashk nahin aah nahin hai
ai ishq tira koi hava-ḳhvah nahin hai
go dard-e-tamanna ko baḌhata hai tira zikr
dil phir bhi tire naam se agah nahin hai
ai husn-e-yaqin dair-o-haram ki hai faza tang
is dar se palaTne ki koi raah nahin hai
ye kis ne uḌaa.i ki mujhe ishq hai tum se
haan tum ko yaqin aa.e to afvah nahin hai
asa.ish-e-tan ruuh ka azar hai ‘qaisar’
duniya men gham-e-ishq se tanḳhvah nahin hai
Leave a Reply