ik haath duaon ka asar kaat raha hai
hai chhanv men jis ki vo shajar kaat raha hai
kaata tha kabhi main ne safar ek anokha
ik umr se ab mujh ko safar kaat raha hai
tum darte ho aa jaae na basti men darinda
mujh ko to koi aur hi dar kaat raha hai
phaila hai bahut duur talak mujh men bayaban
dasta hai daricha mujhe dar kaat raha hai
is shahr men raas aati nahin aina-sazi
liije vo mira dast-e-hunar kaat raha hai
ho jaae kahin qad men na kal is ke barabar
is khauf se vo bhaai ka sar kaat raha hai
har ek se aati hai bisand apni gharaz ki
dil kis ke ravayye ka samar kaat raha hai
Leave a Reply