aa rahi thi band kaliyon ke chaTakne ki sada
main sarapa gosh ho kar raat bhar sunta raha
bah gaya zulmat ke sailab men aivan-e-sang
dhuup jab nikli tamazat se samundar jal uTha
jab rag-o-pai men sarayat kar raha tha zahr-e-habs
rauzan-e-divar se mujh par hansi ThanDi hava
sabz kheton se koi sahra men le jaa.e mujhe
main hare suraj ki tabani se andha ho gaya
ban ga.i zanjir ḳhushbu-dar miTTi ki kashish
main zamin se jab ḳhalaon ki taraf jaane laga
Leave a Reply