Sahn-E-Chaman Mein Har-Su Patthar

sahn-e-chaman meñ har-sū patthar

phuul to phuul hai ḳhushbū patthar

aaj ik ek kiran pathrā.ī

sūraj taare jugnū patthar

pathrā.e pathrā.e chehre

āñkheñ patthar aañsū patthar

merī jānib har jānib se

aa.e haiñ be-qābū patthar

rāh-e-vafā par chalnā mushkil

har-sū kāñTe har-sū patthar

ahl-e-jafā se haath milāte

ho ga.e mere baazū patthar

is māhaul meñ gar jiinā hai

‘yazdānī’ ho jā tū patthar

Leave a Comment