
Mahmood Shaam
kis rang men hain ahl-e-vafa us se na kahna
kyuun phuul hain ḳhushbu se juda us se na kahna
Duubi nahin muddat se jo nazron ke bhanvar men
is aankh ka jo haal hua us se na kahna
yadon ke dar-o-bam pe ik naam vahi naam
kya jaane ka.i baar likha us se na kahna
lipTi thi darichon se hasin chandni kaise
kya kya mujhe taron ne kaha us se na kahna
bujhti hi nahin pyaas yahan jalte labon ki
bin barse guzarti hai ghaTa us se na kahna
bikhri thiin kabhi rangaten us suune nagar men
ab ‘sham’ na ḳhushbu na hava us se na kahna

Leave a Reply