had se guzar na ja.un main aisa na kijiye
masti-bhari nigah se dekha na kijiye
palkon ko raston men bichhaya na kijiye
yuun apne intizar ko rusva na kijiye
paḌh lenge log chehre se dil ki kitab ko
itna kisi ke baare men socha na kijiye
ghairon pe e’tibar to hai baat duur ki
apna bhi ho sake to bharosa na kijiye
meri nazar se aap kahan bach ke jaenge
main aaina huun aap ka parda na kijiye
yuun mujh ko e’tibar bahut hai magar huzur
va.ade to TuuT jaate hain va.ada na kijiye
rishta mira zamin se mazbut hai bahut
ab mujh ko asman se pukara na kijiye
ḳhud ko jahan se aadmi chhoTa dikhai de
itna bhi apne-ap ko uncha na kijiye
Leave a Reply