yuun to har ek shaḳhs hi talib samar ka hai
aisa bhi koi hai ki jise gham shajar ka hai
ye kaisa karvan hai ki ek ek gaam par
sab sochte hain kya koi mauqa.a safar ka hai
ye kaisa asman hai ki jis ki fazaon men
ek ḳhauf sa shikastagi-e-bal-o-par ka hai
ye kaisa ghar hai jis ke makinon ko har ghaḌi
dhaḌka sa ek larzish-e-divar-o-dar ka hai
a.ankhon pe tirgi ka tasallut hai is qadar
kirnon pe ehtimal fareb-e-nazar ka hai
chehre ka koi daagh dikha.i na de mujhe
ye mo.ajaza ajab mire a.ina-gar ka hai
tha ‘mir-ji’ ka daur ghanimat ki un dinon
dastar hi ka Dar tha magar ab to sar ka hai
ye saare silsile the jab a.ankhon men nuur tha
ab kis ka intizar kisi dida-var ka hai
ghalib hai ab buland sada hi dalil par
‘sadiq’ hamara daur ajiib shor-o-shar ka hai
Leave a Reply