• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aazar-O-Jafa-E-Paiham Se Ulfat Mein Jinhen Aaram Nahin

Aazar-O-Jafa-E-Paiham Se Ulfat Mein Jinhen Aaram Nahin

azar-o-jafa-e-paiham se ulfat men jinhen aram nahin

vo jiite hain lekin un ko marne ke siva kuchh kaam nahin

aflak ki gardish se dam-bhar duniya men hamen aram nahin

vo din nahin vo ab raat nahin vo sub.h nahin vo shaam nahin

kyuun ham ne mohabbat ki un se diqqat men phanse zahmat men phanse

aghaz hi men dil men kahta tha achchha us ka anjam nahin

is ka bhi alam us ka bhi qalaq ye gham bhi hamen vo gham bhi hamen

jiine ko ghanimat samjhe the jiine men magar aram nahin

gulshan men ḳhizan ab aa pahunchi mai-ḳhane men ji kyuun kar bahle

vo rang nahin vo lutf nahin vo daur nahin vo jaam nahin

har saans se aati hai ye sada marne ke liye tayyar raho

jiine se nahin kuchh dilchaspi jiine se hamen kuchh kaam nahin

qatil ko ye samjha de koi naale se fughan se shevan se

bismil na karun main ai ‘bismil’ to bismil mera naam nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

akhtar-muslimi

Nale Mere Jab Tak Mere Kaam Aate Rahenge

munawwar-rana

Mitti Mein Mila de Ki Juda Ho Nahin Sakta

akhtar-bastavi

Chaho To Mera dukh Mera Aazar Na Samjho

poet

Bas Ek Bar Use Raushni Mein Dekha Tha

Naqshe Usi Ke Dil Mein Hain Ab Tak Khinche Hue

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet