Chaaron Taraf Hai KHun Ka Dariya chaDha Hua

chāroñ taraf hai ḳhuun kā dariyā chaḌhā huā

kashmīr sar-zamīn-e-muqaddas rodesia

chaa.e kī pyāliyoñ se uThegī na.ī mahak

be-barg Tahniyoñ pe nayā rañg aa.egā

jiine kī ik umañg jo kal thī so ab bhī hai

marne kā vaqt aaj bhī hai kal bhī aa.egā

patto mujhe lapeT lo apnī ridāoñ meñ

maiñ vo daraḳht huuñ jise kuchh bhī nahīñ milā

shīshoñ kī tarah TuuT ga.iiñ sab haqīqateñ

patthar pighal ke bahne lagā injimād kā

Leave a Comment