tu mil us se ho jis se dil tira khush
bala se teri main na-khush huun ya khush
khushi teri jise har-dam ho darkar
koi is se nahin hota hai na-khush
koi ab ke zamane men na hoga
ilahi ashna se ashna khush
falak ke haath se ai khaliq-e-khalq
kui nahin aa ke duniya men raha khush
tira saaya ho jis par us ko hargiz
na aave saya-e-bal-e-huma khush
qafas men aah had iiza hai ham ko
na aati kaash gulshan ki hava khush
agar laave tu bu us gul-badan ki
to hon tujh se nihayat ai saba khush
kiya qatl un ne mujh ko ghair se mil
hua dushman juda khush vo juda khush
nasihat ki thi un ne mai-kashon ko
bahut maston ne zahid ko kiya khush
mu-e-atish men jal parvana o shama
mohabbat se main un ki had hua khush
kiya chaak ai junun tira bhala ho
kabhu main is gareban se na tha khush
gaya tha sair ko le saaqi o mai
na aai baagh ki ab-o-hava khush
kiya qatil ne bismil ko mire dekh
mujhe lagta hai is ka lotna khush
sune kyunkar vo labbaik-e-haram ko
jise naqus ki aae sada khush
satana be-dilon ke dil ko har-dam
tumhen ai dilbaro aata hai kya khush
sumud o qaqum o sanjab hai pashm
mujhe aata hai tuuta boriya khush
sanam ke paas se qasid phira hai
khuda jaane ki main na-khush huun ya khush
koi khush hove khuban ki vafa se
mujhe to un ki aati hai jafa khush
na chhodunga kabhi main but-parasti
na ho go mujh se ai ‘taban’ khuda khush
Leave a Reply