kirdar kah rahe hain kuchh apni zaban men
kitni kahaniyan hain isi dastan men
jab aaj tak na baat mukammal hui koi
ye log bolne lage kyuun darmiyan men
barson men kaT raha hai yahan arsa-e-hayat
sadiyan guzar rahi hain kahin ek aan men
us din ke ba.ad sochna mahdud kar diya
aisa ḳhayal ek din aaya tha dhyan men
hone ki intiha hai vahi aaj tak ‘malal’
jo ibtida men ho gaya is ḳhak-dan men
Leave a Reply