• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sham Ko Subh Andhere Ko Ujala Likkhen

Sham Ko Subh Andhere Ko Ujala Likkhen

shaam ko sub.h andhere ko ujala likkhen

alam-e-shauq men kya janiye ham kya likkhen

mudda.a likkhen talab likkhen tamanna likkhen

itna kuchh likh ke bhi ham ḳhat ko adhura likkhen

koi ḳhushbu na koi rang na koi avaz

dil ko ham sang na samjhen to ise kya likkhen

ik isi soch men gum ho ga.e kitne mausam

in se ham haal zabani hi kahen ya likkhen

ham ko israr ki zulmat ko ziya kyuun manen

un ka ye hukm ki har shab ko savera likkhen

maslahat ham ko bhi marghub hai lekin kab tak

ḳhaar ko phuul kahen dasht ko dariya likkhen

husn-e-ma.asum ko mausum karen qatil se

aur qatil ko zamane ka masiha likkhen

dastan-e-dil-e-ḳhun-gashta kahan tak ‘sahir’

ab gham-e-zat se haT kar gham-e-duniya likkhen

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Itne Dukhi Hain Hum Ko Masarrat Bhi Gham Bane

Wo Meri Raaten Meri Aankhon Mein Aa Kar Le Gai

Wahshat Mein Har Ek Naqsha ulTa Nazar Aata Hai

majrooh-sultanpuri

Wo Jo Milte The Kabhi Humse diwanon Ki Tarah

ahmad-adil

Un Ke Qisse Agar Bayan Hote

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet