Duub kar ḳhud men kabhi yuun be-karan ho ja.unga
ek din main bhi zamin par asman ho ja.unga
reza reza Dhalta jaata huun main harf o saut men
rafta rafta ik na ik din main bayan ho ja.unga
tum bulaoge to aa.egi sada-e-ba-gasht
vo bhi din aa.ega jab suuna makan ho ja.unga
tum haTa lo apne ehsanat ki parchha.iyan
mujh ko jiina hai to apna sa.eban ho ja.unga
ye sulagta jism Dhal ja.ega jab barfab men
main badalte mausamon ki dastan ho ja.unga
muntazir sadiyon se huun ‘azad’ us lamhe ka jab
roz-e-raushan ki tarah ḳhud par ayaan ho ja.unga
Leave a Reply