raha karte hain yuun ushshaq teri yaad o hasrat men
base rahte hain jaise phuul apni apni nikhat men
khicha husn-e-vafa ho kar jo ye tasvir-e-vahdat men
khuda ka nuur shamil ho gaya insan ki surat men
nahin hai lazzat-e-duniya o ma-fiha jo qismat men
khuda-maalum hissa hai mira kis khvan-e-neamat men
safai-rukh badhi aisi hua aina hairat men
javani men nazar aane laga munh us ki surat men
phalun phulunga main duniya se ja kar bagh-e-jannat men
azal se parvarish hota huun main gulzar-e-rahmat men
mahall-e-ishq men jo khuun mushtaqon ka bahta hai
hua karti hain rang-ameziyan us ki imarat men
karo aisi adaen ham se ham tasvir ho jaaen
rahen ham aur tum ik jaan do qalib ho ke khalvat men
mili hai meri qismat se mujhe neamat tavakkul ki
jo marghub-e-khuda hain vo maze hain us ki lazzat men
khudai vajd karti hai jahan main chahchahata huun
hazaron men huun ik bulbul tire gulzar-e-qudrat men
namaz-e-panjgana men bhi har ja zikr usi ka hai
tashahhud men azaan men sajde men niyyat men rakaat men
machal jaane par us na-faham ke rahm us ko aaya hai
liya hai mere tifl-e-ashk ko daman-e-rahmat men
dil-azari ka ham-surat se apne mashvara lenge
ilahi khair aina talab hota hai khalvat men
mare par bhi ‘sharaf’ ki donon ankhen dabdabati hain
khuda jaane ki dam nikla hai un ka kis ki hasrat men
Leave a Reply