Phir Wahi Baat Ho Gai Hogi

phir vahī baat ho ga.ī hogī

shaah ko maat ho ga.ī hogī

mil ga.e hoñge donoñ vaqt gile

aur phir raat ho ga.ī hogī

chhā ga.e hoñge yaad ke bādal

khul ke barsāt ho ga.ī hogī

tīrgī ne chhuḌā liyā dāman

chāñdnī-rāt ho ga.ī hogī

ḳhushbueñ aa.ī haiñ lifāfe meñ

nafī isbāt ho ga.ī hogī

jaal kyuuñ bun rahī hai ḳhāmoshī

phir mulāqāt ho ga.ī hogī

Leave a Comment