saari chilmanen
tiliyon ki shakl men bikhar chuki hain
kamzor dhage
kahaniyan banne se aari
momi shamen pighal pighal kar zamin-bos
parvane rasta bhatak chuke hain
be-rang os ke dhabbe
ja-ba-ja anganon men phaile hain
suraj ne ankhen nahin kholin
qatra qatra pi rahi hai ghaas
chand ki jhuti sharab
khakistari yadon ki bara-dari men
an-chahe qadmon ki bazgasht
ubharti dubti rahti hai
zaban ki nok par zahr ki chand bunden
maidan-e-harb se
khabar aane tak
ya phir us angushtari ke kho jaane tak
Leave a Reply