• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ban Kar Jo Koi Samne Aata Hai Aaina

Ban Kar Jo Koi Samne Aata Hai Aaina

ban kar jo koi samne aata hai aa.ina

ḳheme men dil ke aa ke lagata hai aa.ina

vo kaun hai ye mujh se kabhi puchhta nahin

main kaun huun ye mujh ko batata hai a.ina

is aks ke bar-aks koi aks hai kahin

kyon aks ko bar-aks dikhata hai aa.ina

ḳhud ko saja.e jaate hain vo aa.ine ko dekh

jalvon se un ke ḳhud ko sajata hai aa.ina

ḳhud aa.ine pe un ki Thaharti nahin nazar

kaise phir un se aankh milata hai aa.ina

ye mera aks hai to magar ajnabi sa hai

kyon kar mujhe mujhi si chhupata hai aa.ina

kab dil ke aa.ine men khila karte hain gulab

kab aa.ine men phuul khilata hai aa.ina

aveza dekhte hain vo jhuk kar qarib se

ya un ko koi raaz batata hai aa.ina

jab mera aks mujh se mumasil nahin raha

kyon mera aks mujh ko dikhata hai aa.ina

is aa.ine men aks kisi ka hai rat-din

‘ahmad’ ye ishq dil ko banata hai aa.ina

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Hamare Sath Zamana Bhi Chalne Lagta Hai

poet

Isko Na Raat Kah Tu Na Isko Bata Ghalat

Diye Ka Kaam Ab Aankhen Dikhana Rah Gaya Hai

abbas-tabish

Shayad Kisi Bala Ka Tha Saya darakht Par

Tere Siwa Meri Hasti Koi Jahan Mein Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet