munh-zor arzuon ki be-mehriyan na puchh
begana ho rahi hain ye la kar kahan na puchh
fehrist muhsinon ki nihayat tavil hai
mujh se miri tabahiyon ki dastan na puchh
mujh ko panah di na tire gham ne bhi kabhi
main de raha huun kitne ghamon ko amaan na puchh
har zaḳhm chand zaḳhmon ki karta hai parvarish
kaise sada-bahar hai ye gulsitan na puchh
dasht-e-vafa ki vus.aton ko pa saka hai kaun
gum kis qadar hue hain yahan karvan na puchh
vabasta moḌ moḌ se hain kitne hadsat
ye qatl-gah hai ki dayar-e-butan na puchh
Leave a Reply