kahin din guzar gaya hai kahin raat kaT ga.i hai
ye na puchh kaise tujh bin ye hayat kaT ga.i hai
ye udaas udaas mausam ye ḳhizan ḳhizan faza.en
vahi zindagi thi jitni tire saath kaT ga.i hai
na tujhe ḳhabar hai meri na mujhe ḳhabar hai teri
tiri dastan se jaise miri zaat kaT ga.i hai
ye tira mizaj tauba ye tira ghurur tauba
tiri bazm men hamesha miri baat kaT ga.i hai
tire intizar men main jali ḳhud charagh ban kar
tiri aarzu men aksar yunhi raat kaT ga.i hai
na vo ham-ḳhayal mera na vo ham-mizaj mera
phir usi ke saath kaise ye hayat kaT ga.i hai
ye kitab qismaton ki likhi kis qalam ne ‘nik.hat’
kahin par to shah kaTi hai kahin maat kaT ga.i hai
Leave a Reply