tum agar saath dene ka vaada karo
main yunhi mast naghme lutata rahun
tum mujhe dekh kar muskurati raho
main tumhen dekh kar giit gaata rahun
kitne jalve fazaon men bikhre magar
main ne ab tak kisi ko pukara nahin
tum ko dekha to nazren ye kahne lagin
ham ko chehre se hatna gavara nahin
tum agar meri nazron ke aage raho
main har ik shai se nazren churata rahun
main ne khvabon men barson tarasha jise
tum vahi sang-e-marmar ki tasvir ho
tum na samjho tumhara muqaddar huun main
main samajhta huun tum meri taqdir ho
tum agar mujh ko apna samajhne lago
main baharon ki mahfil sajata rahun
Leave a Reply