di hai agar hayat tamanna kiye baghair
ab maut bhi ata ho taqaza kiye baghair
bazar-e-zindagi hai faqat ghumne ki ja
kuchh bhi yahan milega na sauda kiye baghair
main bhi ana-pasand huun lekin karun to kya
dil manta nahin use sajda kiye baghair
jalva numud-e-jism hai aur jism hai hijab
parde men koi rahta hai parda kiye baghair
mansub kis se hoti phir aḳhir mata-e-dil
main tum ko chhoḌ deta jo apna kiye baghair
ye kar-nama hai dil-e-ḳhud-ehtisab ka
main pak-baz ho gaya tauba kiye baghair
fariyad kis se kijiye us chara-saz ki
jo chhoḌ de mariz ko achchha kiye baghair
chup rah ke mutma.in hain nahin jante ‘sarosh’
kuchh raaz faash hote hain charcha kiye baghair
Leave a Reply