kya yaad kar ke rouun ki kaisa shabab tha
kuchh bhi na tha hava thi kahani thi khvab tha
ab itr bhi malo to takalluf ki bu kahan
vo din hava hue jo pasina gulab tha
mahmil-nashin jab aap the laila ke bhes men
majnun ke bhes men koi khana-kharab tha
tera qusur-var khuda ka gunahgar
jo kuchh ki tha yahi dil-e-khana-kharab tha
zarra samajh ke yuun na mila mujh ko khaak men
ai asman main bhi kabhi aftab tha
Leave a Reply