ankhon men rang pyaar ke bharne lagi huun main
a.ina samne hai sanvarne lagi huun main
ankhon men us ki pa ke ishare vafaon ke
gahre samundaron men utarne lagi huun main
manzil na qafila na musafir na rahbar
ye kaise raston se guzarne lagi huun main
ahbab ke fareb-e-musalsal ne ye kiya
parchha.iyon se apni hi Darne lagi huun main
aflak jab ana ke pighalte hue mile
par apni aarzu ke katarne lagi huun main
‘mina’ tasavvurat men parchha.iyan si hain
jaane ye zindagi hai ki marne lagi huun main
Leave a Reply