akhiri vaqt hai akhiri saans hai zindagi ki hai shaam akhiri akhiri
sang-dil aa bhi ja ab khuda ke liye lab pe hai tera naam akhiri akhiri
kuchh to asan hoga adam ka safar un se kahna tumhen dhundhti hai nazar
nama-bar tu khudara na ab der kar de de un ko payam akhiri akhiri
tauba karta huun kal se piyunga nahin mai-kashi ke sahare jiyunga nahin
meri tauba se pahle magar saqiya sirf de ek jaam akhiri akhiri
mujh ko yaron ne nahla ke kafna diya do ghadi bhi na biiti ki dafna diya
kaun karta hai gham tutte hi ye dam kar diya intizam akhiri akhiri
jite-ji qadr meri kisi ne na ki zindagi bhi miri bevafa ho gai
duniya vaalo mubarak ye duniya tumhen kar chale ham salam akhiri akhiri
Leave a Reply