bhulata laakh huun lekin barabar yaad aate hain
ilahi tark-e-ulfat par vo kyunkar yaad aate hain
na chhed ai ham-nashin kaifiyat-e-sahba ke afsane
sharab-e-be-khudi ke mujh ko saghar yaad aate hain
raha karte hain qaid-e-hosh men ai vae-nakami
vo dasht-e-khud-faramoshi ke chakkar yaad aate hain
nahin aati to yaad un ki mahinon tak nahin aati
magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain
haqiqat khul gai ‘hasrat’ tire tark-e-mohabbat ki
tujhe to ab vo pahle se bhi badh kar yaad aate hain
Leave a Reply