ḳhud se apna aap milaya ja sakta hai
tanha.i ka haath baTaya ja sakta hai
ḳhamoshi jab hamla-avar hona chahe
chaurahe par shor machaya ja sakta hai
hairani ka qarz chukana paḌ jaa.e to
ankhon ka ehsan uThaya ja sakta hai
dharti par kuchh sabz ruton ka bhes badal kar
charvahe ka ḳhvab churaya ja sakta hai
un ki tiira zulfon se tashbihen de kar
shab ko rah-e-rast pe laaya ja sakta hai
na-mumkin hai paani par tasvir banana
lekin us par sher banaya ja sakta hai
bhula ja sakta hai ḳhud ko barson barson
roz kisi ko yaad bhi aaya ja sakta hai
Leave a Reply