harim-e-naz ko ham ghair ki mahfil nahin kahte
raqibon par magar vo kaun tha maa.il nahin kahte
jo rang-e-ishq se farigh ho us ko dil nahin kahte
jo maujon se na Takra.e use sahil nahin kahte
ishara sham.a ka samjha na parvana to kya samjha
manar-e-rah ko ahl-e-nazar manzil nahin kahte
ba-rang-e-rishta-e-tasbih dil se raah hai dil ko
bhaTak jaa.e jo is jaade se us ko dil nahin kahte
zuleḳha ke vaqar-e-ishq ko sahra se kya nisbat
jo ḳhud khinch kar na aa jaa.e use manzil nahin kahte
mariz-e-gham ki ghaflat bhi kamal-e-hoshiyari hai
jo gum ho jaa.e jalvon men use ghafil nahin kahte
bharam us ka hi ai mansur tu ne rakh liya hota
kisi ka raaz ai nadan sar-e-mahfil nahin kahte
Leave a Reply