pyaar ka abr khul ke barsa hai
TuuT kar main ne tujh ko chaha hai
is se baḌh kar juda.i kya hogi
ab to ankhon se ḳhuun bahta hai
shayad ab phir kabhi na mil paa.en
main ne ḳhvabon men tujh ko dekha hai
ik kiran ko taras rahe hain ham
sehn-e-dil men baḌa andhera hai
sab ko phulon ki aarzu hai ‘niyaz’
kaun patton se pyaar karta hai
Leave a Reply