• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hath Khaali Hain Tere Shahr Se Jate Jate

Hath Khaali Hain Tere Shahr Se Jate Jate

rahat-indori

haath khali hain tire shahr se jaate jaate

jaan hoti to miri jaan lutate jaate

ab to har haath ka patthar hamen pahchanta hai

umr guzri hai tire shahr men aate jaate

ab ke mayus hua yaron ko rukhsat kar ke

ja rahe the to koi zakhm lagate jaate

rengne ki bhi ijazat nahin ham ko varna

ham jidhar jaate nae phuul khilate jaate

main to jalte hue sahraon ka ik patthar tha

tum to dariya the miri pyaas bujhate jaate

mujh ko rone ka saliqa bhi nahin hai shayad

log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate

ham se pahle bhi musafir kai guzre honge

kam se kam raah ke patthar to hatate jaate

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Humse Puchha Kya Biti Hai aaKHir-E-Shab Ke Maron Par

Hamin Tak Rah Gaya Qissa Hamara

adil-mansuri

Khidki Andhi Ho Chuki Hai

Umr-Bhar Chaara-E-Junun Na Hua

ismail-merathi

Raat

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet