de ke ḳhud ḳhuun ka manzar mujh ko
aaj kahta hai vo ḳhanjar mujh ko
kab raha koi Thikana apna
ab ki DhunDho mire andar mujh ko
dekh kar mera shikasta hona
kahta hai piir sikandar mujh ko
zaḳhm-e-jan aur tabassum sheva
kar gaya vaqt qalandar mujh ko
mujh ko sahra sa mila tha jo kabhi
kar gaya vo hi samundar mujh ko
Leave a Reply