Lagta Nahin Kahin Bhi Mera Dil Tere Baghair

lagtā nahīñ kahīñ bhī mirā dil tire baġhair

donoñ jahāñ nahīñ mire qābil tire baġhair

kuchh lutf-e-zindagī nahīñ hāsil tire baġhair

pal bhar guzārnā bhī hai mushkil tire baġhair

tū hī nahīñ to kaun kare merī rahbarī

kaTtī nahīñ hayāt kī manzil tire baġhair

dil par mire hī shaaq nahīñ hai tirā firāq

ḳhāmosh haiñ chaman meñ anādil tire baġhair

phūloñ ke ibtisām pe aatī hai ab hañsī

aisā bujhā huā hai mirā dil tire baġhair

hosh-o-havās-o-aql-o-ḳhirad de ga.e javāb

yaanī nahīñ huuñ maiñ kisī qābil tire baġhair

har dam ye soch hai mire jiine se fā.eda

jab maqsad-e-hayāt hai bātil tire baġhair

takmīl-e-ārzū se hai takmīl-e-zindagī

kyūñkar ho zindagī mirī kāmil tire baġhair

kashtī nikal to aa.ī hai gardāb se magar

dil Dūbne lagā lab-e-sāhil tire baġhair

har dam taḌap ke loTtā phirtā huuñ ḳhaak par

goyā banā huuñ tā.ir-e-bismil tire baġhair

āñkheñ hī pahle rotī thiiñ ab to ye qahr hai

rone lagā hai ḳhuun mirā dil tire baġhair

‘nādir’ ko jaan dene se kyuuñ roktā hai tū

jiine se bhī hai kyā use hāsil tire baġhair

Leave a Comment