puurā na shab-e-ġham kā kabhī silsila huā
vaqt-e-sahar uThā maiñ duā māñgtā huā
har har nafas meñ lafz-e-mohabbat zabāñ pe hai
mujh meñ na jaane kaun hai ye boltā huā
paayā nahīñ kisī ne bhī ye rāz-e-kā.enāt
ek shaḳhs kho gayā hai ḳhudā DhūñDhtā huā
us se chhupā na pā.egā tū apnā hāl-e-dil
āñkhoñ kā ā.īna hai abhī boltā huā
bīmār thā to pūchhne aa.e nahīñ mizāj
mayyat pe aaj us kī hai mela lagā huā
kal chaudhvīñ kī raat bhī ‘arpit’ tamām raat
bhaTkā huuñ apne aap ko maiñ DhūñDhtā huā