
Abdussamad Tapish
abhi tak hausla thahra hua hai
nafas ka silsila thahra hua hai
ragon par aaj bhi hai larza taari
nigah men hadsa thahra hua hai
faqat qabil ne buniyad daali
abhi tak silsila thahra hua hai
bas ik tar-e-nafas ka tutna hai
yahi ik hadsa thahra hua hai
nazar ki chuuk thi bas ek lamha
sadi ka qafila thahra hua hai
jahan tak paanv mere ja sake hain
vahin tak rasta thahra hua hai
vo ham se ruuth kar bhi duur kab hain
dilon ka rabta thahra hua hai
vahi qatil vahi munsif bana hai
usi se faisla thahra hua hai

Leave a Reply