• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kab Hawa muTThi Mein Aati Hai Abas dauDa Kiya

Kab Hawa muTThi Mein Aati Hai Abas dauDa Kiya

kab hava muTThi men aati hai abas dauḌa kiya

jaane kya kya kal yunhi main rat-bhar socha kiya

ab to is tark-e-ta.alluq men mujhe bhi lutf hai

jo kiya tum ne miri ḳhatir bahut achchha kiya

jaise vo bhi falsafe ke nukta-e-pechida hon

meri baten mere badle ghair se samjha kiya

phir mujhe daryaft karne ki use hasrat rahi

vo mujhe dimak lage auraq men DhunDha kiya

ḳhu men chahe tund ho dil se nihayat nek hai

bhuul kar sab pichhli baten mere paas aaya kiya

tishnagi mera muqaddar hai mujhe paani se kya

janta tha phir bhi ḳhema nahr par barpa kiya

kal vahi shab thi jo aati hai nasibon se magar

aur sab sote rahe bas ek main jaaga kiya

jab na.i avaz uTThi qatl karne aa.e log

ik madari saanp ka sar maan kar kuchla kiya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

mirza-ghalib

dar-Khur-E-Qahr-O-Ghazab Jab Koi Hum Sa Na Hua

Aatish-E-Hijr Ko Ashkon Se Bujhane Wale

KHuda Ko DhunD Raha Tha Kahin KHuda Na Mila

abu-mohammad-wasil-bahraichi

Hasrat-e-did Rahi did Ka Khwahan Ho Kar

Sufi

Su-e-Kaba Ya Su-e-Ku-e-Butan Le Jaega

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet