hamare jismon men din hi ka zahr kya kam tha
barahna raat bhi aa.i to sabz mausam tha
halakaton ka sila qatilon se kya milta
ki qatra qatra lahu ka nazar men shabnam tha
bikharne TuTne ka silsila tha rahon men
tamam ḳhvabon ka ta.abir-nama matam tha
garan hai miTTi ka TuuTa hua piyala ab
yahi vo haath hain kal jin men saghar-e-jam tha
ghisaT rahe the zamin par hazar-ha insan
umid-o-bim ka har ik charagh maddham tha
main zindagi se shanasa huun is qadar ‘ishrat’
nigah uThti thi jis samt hu ka aalam tha
Leave a Reply