dariya vo kahan raha hai jo tha
ye shahr ka aḳhiri qissa-go tha
jo ḳhaak si dil men uḌ rahi hai
yaan koi ghazal ho na ho tha
ab se ye hamara ghar nahin ḳhair
pahle bhi na tha ḳhayal to tha
sabit nahin kar sakoge tum log
kya mera vajud tha chalo tha
donon ghaḌiyon par hijr ka vaqt
hona nahin chahiye tha so tha
is ḳhvab men kya nahin dar-asl
bas kah to diya na ḳhvab jo tha
Leave a Reply