• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chand Sitare Qaid Hain Sare Waqt Ke Bandi-KHane Mein

Chand Sitare Qaid Hain Sare Waqt Ke Bandi-KHane Mein

chand sitare qaid hain saare vaqt ke bandi-ḳhane men

lekin main azad huun saaqi chhoTe se paimane men

umr hai faani umr hai baaqi is ki kuchh parva hi nahin

tu ye kah de vaqt lagega kitna aane jaane men

tujh se duuri duuri kab thi paas aur duur to dhoka hain

farq nahin anmol ratan ko kho kar phir se paane men

do pal ki thi andhi javani na-dani ki bhar paaya

umr bhala kyuun biite saari ro ro kar pachhtane men

pahle tera divana tha ab hai apna divana

pagal-pan hai vaisa hi kuchh farq nahin divane men

ḳhushiyan aa.iin achchha aa.iin mujh ko kya ehsas nahin

sudh-budh saari bhuul gaya huun dukh ke giit sunane men

apni biiti kaise suna.en mad-masti ki baten hain

‘mira-ji’ ka jivan biita paas ke ik mai-ḳhane men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Meri Jab Us Se Aashnai Thi

Go Jawani Mein Thi Kaj-Rai Bahut

Chashm-E-Hasin Mein Hai Na ruKH-E-Fitna-Gar Mein Hai

TukDe TukDe Jab baT Jaun Sham Gae

Ishq Kar Ke Dekh Li Jo Bebasi Dekhi Na Thi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet