qaum ne paigham-e-gautam ki zara parva na ki
qadr pahchani na apne gauhar-e-yak-dana ki
aah bad-qismat rahe avaz-e-haq se be-khabar
ghafil apne phal ki shirini se hota hai shajar
ashkar us ne kiya jo zindagi ka raaz tha
hind ko lekin khayali falsafa par naaz tha
sham-e-haq se jo munavvar ho ye vo mahfil na thi
barish-e-rahmat hui lekin zamin qabil na thi
aah shudar ke liye hindostan gham-khana hai
dard-e-insani se is basti ka dil begana hai
barhaman sarshar hai ab tak mai-e-pindar men
sham-e-gautam jal rahi hai mahfil-e-aghyar men
but-kada phir baad muddat ke magar raushan hua
nur-e-ibrahim se aazar ka ghar raushan hua
phir uthi akhir sada tauhid ki punjab se
hind ko ik mard-e-kamil ne jagaya khvab se
Leave a Reply