• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wusat-E-Bahr-E-Ishq Kya Kahiye

Wusat-E-Bahr-E-Ishq Kya Kahiye

poet

vusat-e-bahr-e-ishq kya kahiye

ibtida ho to intiha kahiye

tere jaur-o-jafa ko kya kahiye

naaz kahiye unhen ada kahiye

us sitamgar ko or kya kahiye

saare jhuton ka peshva kahiye

puchhna chahiye tabibon se

dard-e-dil ki hai ye dava kahiye

ham bhi munh men zaban rakhte hain

kuchh samajh kar bura bhala kahiye

ghairon ke samne bula ke mujhe

kahte hain dil ka muddaa kahiye

na koi yaar hai na hai gham-khvar

kis se ab dil ka majra kahiye

piite hain jo sharab masjid men

aise logon ko parsa kahiye

sharm kya hai mujhe jo kahna ho

samne sab ke barmala kahiye

vo jafa-gar falak sitamgar hai

kise achchha kise bura kahiye

ghair saath aap ke maze luten

ham uthaen jafaen kya kahiye

bhuul kar le gaya su-e-manzil

aise rahzan ko rahnuma kahiye

chaar agar yaar hain to das dushman

raaz dil ka na ja-ba-ja kahiye

jaan se gar gaya koi ashiq

ishq ki is ko ibtida kahiye

kya yahi shart hai mohabbat ki

be-vafaon ko ba-vafa kahiye

shaikh piite hain jo mai-e-ulfat

us ko kis tarah narava kahiye

dil ka siine ka aur jigar ka haal

hai ye vajib juda juda kahiye

haal sunte nahin mira na suno

apne dil ka to majra kahiye

‘mashriqi’ chhodiye buton ka zikr

subh uth kar khuda khuda kahiye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Main Yahan Shor Kis Liye Karta

Rasm-E-Sajda Bhi uTha Di Humne

KHaksari Kijiye Ya Shahryari Kijiye

poet

Ghuncha-E-dil Mera Kha Kar Gul-E-Khandan Mera

Mazhab-E-Ishq Ke Irfan Pe Hairan Nikla

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet