ghamon se istifada kar raha huun
mohabbat ka i.aada kar raha huun
tire naqsh-e-qadam se duur haT kar
alag ta.amir jaada kar raha huun
tire har kaam ko neki samajh kar
zamane se ziyada kar raha huun
Dhake tan bhi mile izzat bhi jis se
vo tahzib-e-libada kar raha huun
kisi se daad bhi leni hai mujh ko
bayan-e-sher saada kar raha huun
hamesha sach ugalvata raha hai
tabhi tarif-e-bada kar raha huun
vo jis se kha chuka huun maat ‘jami’
usi ka phir irada kar raha huun
Leave a Reply