• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aish Kar Khuban Mein Ai dil Shadmani Phir Kahan

Aish Kar Khuban Mein Ai dil Shadmani Phir Kahan

nazeer-akbarabadi

aish kar khuban men ai dil shadmani phir kahan

shadmani gar hui to zindagani phir kahan

jis qadar piina ho pi le paani un ke haath se

ab-e-jannat to bahut hoga ye paani phir kahan

lazzaten jannat ke meve ki bahut hongi vahan

phir ye mithi galiyan khuban ki khani phir kahan

vaan to haan huron ke gahne ke bahut honge nishan

in pari-zadon ke chhallon ki nishani phir kahan

ulfat-o-mahr-o-mohabbat sab hain jite-ji ke saath

mehrban hi uth gae ye mehrbani phir kahan

vaaiz o naseh baken to un ke kahne ko na maan

dam ghanimat hai miyan ye naujavani phir kahan

ja pade chup ho ke jab shahr-e-khamoshan men ‘nazir’

ye ghazal ye rekhta ye sher-khvani phir kahan

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

shaista-mufti

Aaina dekha To Surat Apni Pahchani Gai

Nizam-E-Shams-O-Qamar Kitne Dast-E-KHak Mein Hain

poet

Kafir-E-Ishq Ko Kya Se Kya Kar Diya

Raushni Se Kis Tarah Parda Karenge

poet

Junun Mein Hum Rah-E-KHauf-E-KHatar Se Guzre Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet