mohabbat men aram sab chahte hain
magar hazrat-e-‘dagh’ kab chahte hain
khata kya hai un ki jo us but ko chaha
khuda chahta hai to sab chahte hain
vahi un ka matlub o mahbub thahra
baja hai jo us ki talab chahte hain
magar alam-e-yas men tang aa kar
ye saman-e-afat ajab chahte hain
ajal ki dua har ghadi mangte hain
gham-o-dard-o-ranj-o-taab chahte hain
na tafrih-e-asaish-e-dil ki khvahish
na saman-e-aish-o-tarab chahte hain
qayamat bapa ho nuzul-e-bala ho
yahi aj-kal roz o shab chahte hain
na mashuq-e-farkhar se un ko matlab
na ye jam-e-bintul-inab chahte hain
na jannat ki hasrat na huron ki parva
na koi khushi ka sabab chahte hain
nirali tamanna hai ahl-e-karam se
sitam chahte hain ghazab chahte hain
na ho koi agah raz-e-nihan se
khamoshi ko ye mohr-e-lab chahte hain
khuda un ki chahat se mahfuz rakkhe
ye azar bhi muntakhab chahte hain
gham-e-ishq men ‘dagh’ majbur ho kar
kabhi jo na chaha vo ab chahte hain
Leave a Reply