na-tavan vo huun ki dam bhar nahin baitha jaata
vo bulate to abhi uth ke main dauda jaata
but-kade men bhi gaya kaaba ki janib bhi gaya
ab kahan dhundhne tujh ko tira shaida jaata
kyuun ji kyuun ghair ki baton ka to dete ho javab
ham jo kuchh puchhen to munh se nahin phuta jaata
yak-ba-yak tark na karna tha mohabbat mujh se
khair jis tarah se aata tha vo aata jaata
kah ke ye tal gae balin se ayadat ko jo aae
ab tira hal-e-pareshan nahin dekha jaata
khvahish-e-dasht-navardi kabhi hoti na mujhe
bevafa tu mire ghar par kabhi aata jaata
khaak phulun-phalun is gulshan-e-viran men” ‘haqir’
bagh-e-hasti se khizan ka nahin khatka jaata
Leave a Reply