duur tak bas ik dhundalka gard-e-tanhai ka tha
raston ko ranj meri abla-pai ka tha
fasl-e-gul ruḳhsat hui to vahshaten bhi miT gaiin
haT gaya saaya jo ik aseb-e-sahrai ka tha
toḌ hi daala samundar ne tilism-e-ḳhud-sari
zom kya kya sahilon ko apni pahnai ka tha
aur mub.ham ho gaya paiham mulaqaton ke saath
vo jo ik mauhum sa rishta shanasai ka tha
ḳhaak ban kar pattiyan mauj-e-hava se ja milin
der se ‘akbar’ gulon par qarz purvai ka tha
Leave a Reply