sitamgaron ka tariq-e-jafa nahin jaata
ki qatl karna ho jis ko kaha nahin jaata
ye kam hai kya ki mire paas baiTha rahta hai
vo jab talak mire dil ko dukha nahin jaata
tumhen to shahr ke adab tak nahin aate
ziyada kuchh yahan puchha-guchha nahin jaata
baḌe azaab men huun mujh ko jaan bhi hai aziiz
sitam ko dekh ke chup bhi raha nahin jaata
bharam sarab-e-tamanna ka kya khula mujh par
ab ek gaam bhi mujh se chala nahin jaata
ajiib log hain dil men ḳhuda se munkir hain
magar zaban se zikr-e-ḳhuda nahin jaata
uḌa ke ḳhaak bahut main ne dekh li ai ‘zeb’
vahan talak to koi rasta nahin jaata
Leave a Reply