• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Pas-E-Tauba Hadis-E-Mutrib-O-Paimana Kahte Hain

Pas-E-Tauba Hadis-E-Mutrib-O-Paimana Kahte Hain

munshi-naubat-rai-nazar-lakhnavi

pas-e-tauba hadis-e-mutrib-o-paimana kahte hain

ye ik bhula hua par aaj ham afsana kahte hain

koi khun-e-tamanna ho jhalak aata hai aankhon men

isi ko ittihad-e-bada-o-paimana kahte hain

tabahi dil ki dekhi hai jo ham ne apni aankhon se

ho ab kaisi hi basti ham use virana kahte hain

fana hone men soz-e-shama ki minnat-kashi kaisi

jale jo aag men apni use parvana kahte hain

jafa par sabr sikha hai vafa par jaan jaati hai

yahi hai aur kis ko tohmat-e-mardana kahte hain

tumhari zulf-e-pechan men raha kyun-kar dil-e-vahshi

tuda le jaae jo zanjir use divana kahte hain

maaz-allah tera husn teri bazm-e-ishrat men

ye vo mahfil hai jis men shama ko parvana kahte hain

yahan to jaan tak de di ‘nazar’ padash-e-ulfat men

magar bedad-gar baaqi abhi jurmana kahte hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ye to Nahin Ki Hum Pe Sitam Hi Kabhi Na The

ahmad-sajjad-babar

Na Faisla Tumhaara Hai Na Faisla Hamara Hai

Dhuan Bana Ke Faza Mein uDa Diya Mujhko

Ameer Khasro

Jo Piya Aawan Kah Gae Ajhun Na Aae

Mail Jo Aaj-Kal Nigah-E-Nim-Baz Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet