thake huon ko jo manzil kaThin ziyada hui
safar ka azm-e-musammam lagan ziyada hui
udaas peḌon ne patton ki bhenT de di hai
ḳhizan men raunaq-e-sahn-e-chaman ziyada hui
zaban pe habs ki ḳhvahish machal machal uThi
hava chali to gharon men ghuTan ziyada hui
safar ka marhala-e-saḳht hi ghanimat tha
Thahar ga.e to badan ki thakan ziyada hui
kabhi to sard laga dopahar ka suraj bhi
kabhi badan ke liye ik karan ziyada hui
urus-e-zist pe yuun bhi nikhar kya kam tha
lahu libas kiya to phaban ziyada hui
talab ke honTon pe asudgi ka lafz kahan?
talab vasila-e-dar-o-rasan ziyada hui
‘nasim’ kis ko tha tahzib-e-fan ka dhyan yahan
hamare ahd men tash.hir-e-fan ziyada hui
Leave a Reply