duur se shahr-e-fikr suhana lagta hai
dakhil hote hi harjana lagta hai
saans ki har aamad lautani padti hai
jiina bhi mahsul chukana lagta hai
roz palat aata hai lahu men duuba tiir
roz falak par ek nishana lagta hai
biich nagar din chadhte vahshat badhti hai
shaam talak har-su virana lagta hai
umr zamana shahr samundar ghar akash
zehan ko ek jhatka rozana lagta hai
be-hasil chalte rahna bhi sahl nahin
qadam qadam par ek bahana lagta hai
kya uslub chunen kis dhab iz.har karen
tiis nai hai dard purana lagta hai
hont ke kham se dil ke pech milana ‘saz’
kahte kahte baat zamana lagta hai
Leave a Reply