Shuur-E-Ishq Mile Ru-E-Dar Raqs Karun

shu.ūr-e-ishq mile rū-e-dār raqs karūñ

haiñ mere paas bahāne hazār raqs karūñ

gulū-e-ḳhushk kī shah-e-rag thak ke kahtī hai

kuchh aur tez ho ḳhanjar kī dhaar raqs karūñ

tavāf-e-ḳhāna-e-dildār gar nasīb nahīñ

ḳhud apne dil kā banā kar mazār raqs karūñ

barahna jism hai kohna libās phaT gayā hai

so oḌh kar maiñ ridā-e-ġhubār raqs karūñ

ujaaḌ dasht meñ maqtal ye baar baar saje

lahū meñ Duub ke maiñ baar baar raqs karūñ

anī kuchh aur chubhā ai sitam-shi.ār ki maiñ

taḌap ke dard meñ be-band-o-bār raqs karūñ

duā hai merī maiñ zaḳhmoñ kī taab lā na sakūñ

sharāb maut kā jaage ḳhumār raqs karūñ

sunā chukā sar-e-neza maiñ ek taaza ġhazal

‘nadīm’ hai mujhe ab iḳhtiyār raqs karūñ

Leave a Comment