
Nooh Narvi
tiri tund-ḳhui tiri kina-jui tiri kaj-ada.i tiri bevafa.i
bala hai sitam hai ghazab hai qayamat duha.i duha.i duha.i duha.i
haqiqat ne chakkar men Daala tha ham ko tariqat bure vaqt par kaam aa.i
hama-dast ka mas.ala jab hai aage to kaisi dui aur kaisi juda.i
udhar paas chilman ke maujud the vo idhar the pareshan un ke fida.i
raha sharm-o-shoḳhi ka dilkash tamasha na jalva dikhaya na surat chhupa.i
madad kar zara aur ai josh-e-ulfat ki arman dil ka nikal jaa.e dil se
kabhi jalva-gah tak guzar ho hamara abhi rahguzar tak hui hai rasa.i
bharam khul gaya us se ayyariyon ka khula raaz bhi us se makkariyon ka
churaya tha tum ne agar dil hamara to dil ko chura kar nazar kyuun chura.i
udhar sab se parda idhar sab men jalva yahan vaar aalim vahan aur manzar
kahin vo ayaan hai kahin vo nihan hai kabhi husn-poshi kabhi ḳhud-numa.i
jahan men bashar un se ho be-ta.alluq koi maan le ham na manenge us ko
ki charon taraf hain yahi chaar chizen mohabbat adavat bhala.i bura.i
barabar hain dair-o-haram ke maratib masavi hain donon gharon ki haqiqat
nahin farq kuchh bhi hamari nazar men vahi but-parasti vahi jubba-sa.i
jinhen aish-o-rahat ka arman hoga unhen aish-o-rahat ka arman hoga
tumhari mohabbat men ham ne bala se vo paaya na paaya ye paa.i na paa.i
ye bartao kya hain ye atvar kya hain zara aap sochen zara aap samjhen
hamin par kisi roz chashm-e-inayat hamin se kisi vaqt be-e’tina.i
bahar aa.e muzhda masarrat ka le kar dhuan-dhar uTThin falak par ghaTa.en
idhar jaam chhalke udhar tauba TuuTe baham zohd-o-rindi men ho hatha-pa.i
agar ho koi ru-shanasi ka talib to pahle muqallid bane a.ine ka
kudurat se allah mahfuz rakkhe baḌi shai hai duniya men dil ki safa.i
ye tauqir-o-tahqir men bahs kaisi ki hain donon baten ḳhuda ki taraf se
vo raa.i ko chahe to parbat bana de vo parbat ko chahe to ban jaa.e raa.i
kisi ko rulao kisi ko jalao kisi ko satao kisi ko miTao
ḳhuda.i ka gham kya zamane ka Dar kya tumhara zamana tumhari ḳhuda.i
hazaron bakheḌe hazaron jhamele hazaron tavahhum hazaron taraddud
magar aap aa.en to mehman rakh luun mire dil men ab bhi hai utni sama.i
jo bande ḳhuda ke ḳhuda par na rakkhen to rakkhen bharosa ḳhuda.i men kis par
banaya unhen ahl-e-hajat usi ne karega vahi un ki hajat-rava.i
ye andher khata ye kufran-e-ne.amat zamane ko ai ‘nuh’ kya ho gaya hai
ḳhuda ke karam se to beḌa na Duube magar paa.e shohrat tiri na-ḳhuda.i

Leave a Reply